holi ki dahakti aag me main kya dekh
raha huin? wahi maine is kavita
me express kiya hai.achhi lage
to comment jarur likhe.
"aaj ek aur holika dahan,
buraion aur kurition ka patan.
kurition ya sanskaron ka patan?
aaj ek aur holika dahan."
"kya ye kuch naya tha?
ya tha meerut ka pandal,
jahan thi cheekh pukaren,
jale kuch adhjale
bhagya ke haathon ke maare."
"ya ye tha godhra ke
band dibbe,
jisme band the
sant aur kuch nange bachhe;
ya ye thi
pratishodh ki jalti agni,
jisme bhet chadi
gujrat ki hamari bhagini(sisters)."
"shayad ye thi
jalti beti si bahu;
ha ye thi tel ke
kupo me lagi aag
jiske peeche
manavata hi mar rahi aaj."
"ye aag kab bujhegi?
kab hoga iska patan?
isi aas ek aur holika dahan,
buraion aur kurition ka patan."

